Phoolon ki Aarju mit gayi,
kaanto ka daman hai tham liya !
muskurana kab ka bhool gaya,
dard ka hai humne Jaam liya !
dusaron ki jindagi pe shayeri,
hum bhi bahut likhte hain !
magar un har-ek shayeri mein,
mujhe apni hi kahani toh dikhte hai !
Din ke baad..ye sham q hoti hai,
meri duniya yun tanha q khoti hai !
Halchal hai.. jahan dekhta hun,
meri duniya hi khamosh q hoti hai !
apni kahani toh sabne ji liya,
meri kahani hi badnaam q hoti hai !
Ye jindagi hi ek chhalawa hai,
fir bhi hum jiye jaa rahe hain !
Hothon pe muskurahat bacchi hi kahan,
Gum-e-dil ko piye jaa rahe hain!
muskurane ki chahat toh humen bhi thi,
par jhuti hansi aati hi nahi !
ye jindagi bhi bewafa nikali,
wapas humen bulati hi nahi!
Subscribe to:
Posts (Atom)